Monday, 8 January 2018

Dard E ISHQ- Urdu Nazam by Dr. Allama Muhammad Iqbal


Ay Dard E Ishq Hai Gohar'E Aaabdar Tu
Na Mehramo'n Mein Dekh Na Ho Aashkar Tu

Pinhaa'n Tah-E Naqaab Teri Jalwa Gaah Hai
Zahir Parast Mehfil-E Nau ki Nigaah Hai

Aai Naii Hawaa Chaman-E Hast-O Bood Mein
Ay Dard-E Ishq Ab Nahi Lazzat Namood Mein

Haa'n Khud Numaayio'n Ki Tujhay Justaju Na Ho
Minnat Pazeer Naala'E Bulbul Ka Tu Na Ho

Khaali Sharaab Ishq Se Laalay Ka Jam Ho
Pani Ki Boond Giriya'E Shabnam Ka Naam Ho

Pinhaa'n Daroon'E Seena Kahin Raaz Ho Tera
Ashk'E Jigar Gudaaz Na Ghammaaz Ho Tera

Goeya Zabaan'E Shaayar'E Rangee'n Bayaa'n Na Ho
Aawaz-E Nay Mein Shikwa-E Furqat Nihaa'n Na Ho

YE DAOR NUKTA CHEE'N HAI, KAHI'N CHHUP KE BETH REH
JIS DIL MEIN TU MAKEE'N HAI WAHI'N CHHUP KE BETH REH

Ghaafil Hai Tujh Se Herat-E Ilm Aafareeda Dekh
Joeya Nahi Teri Nigah-E Naa Raseeda Dekh

Rehne De Justaju Mein Khayaal-E Buland Ko
Herat Mein Chhor Deeda-E Hikmat Pasand Ko

Jis Ki Bahaar Tu Ho Ye Esa Chaman Nahi
Qaabil Teri Namood Ke Ye Anjuman Nahi

Ye Anjuman Hai Kushta-E Nazzaara-E Majaaz
Maqsad Teri Nigaah Ka Khilwat Saraa-E Raaz!

HAR DIL MAY-E KHAYAAL KI MASTI SE CHOOR HAI
KUCH AUR AJ KAL KE KALEEMO'N KA TOOR HAI!!!

Book Name: Bang-E-Daraa
Poet Name: Allama Iqbal

Keywords:
Allama Muhammad Iqbal Shayari, Poetry of Allama Iqbal, Urdu Poetry in Roman Urdu, Roman Urdu Shayari, Urdu Shayari, Urdu Poetry of Iqbal, Iqbal Urdu Poetry, Dard E Ishq, Ishq Urdu Poetry, Ishq Poetry, Ishq Shayari, Urdu Poetry of Allama Iqbal, Urdu Shayari of Iqbal, Shayari of Iqbal, Urdu Shayri of Iqbal, Shayri, Shair, Sher of Iqbal, Iqbal Sher, Iqbal 2 Line Poetry, Urdu Nazam, Nazam of Iqbal, Iqbal Ki Nazmein, Nazm, Urdu Nazm, Urdu Shayari of Dr. Muhammad Allama Iqbal. Urdu Poetry in Urdu, Urdu Shayari in Urdu, 

No comments:

Post a Comment