Monday, 22 January 2018

Hazrat Muhammad Rasool Allah SAWW Ki Sadaqat Ki Gawahi Badshah Qaisar Ki Zubani

Aik Martba Qaisar Ke Darbaar Mein Rasool Allah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ka Sab Se Barra Dushman Abu Sufyan Pohncha, Qaisar Rome Aur Abu Sufyan Se Baat Cheet Hoti Hai.
Qaisar Rome Abu Sufyan Se Poochta Hai "Kya Tum Ne Muhammad SAWW Ko Jhoot Bolte Dekha?"
Abu SSufyan Jawaab Deta Hai "Nahi.."
Qaisar Rome Ne Is Par Kaha " Jo Shakhs Dunya Ke Muamlaat Mein Jhoot Nahi Bolta, Wo Allah Ke Baaray Mein Kis Trah Jhoot Bol Sakta Hai."

Rasool Allah Ki Sadaaqat Ki Ye Aakhri Gwahi Thi.......

ایک مرتبہ قیصرِ روم کے دربار میں رسول اللہ کا سب سے بڑا دشمن ابو سفیان پہنچا، قیصر روم اور ابو سفیان سے بات چیت ہوتی ہے قیصر روم ابو سفیان سے پوچھتا ہے
"کیا تم نے محمد کو جھوٹ بولتے دیکھا ہے کبھی؟"
ابو سفیان جواب دیتا ہے "نہیں
قیصر روم نے اس پر کہا 
۔"جو شخص دنیا کے معاملات میں کسی سے جھوٹ نہیں بولتا وہ اللہ کے بارے میں کس طرح جھوٹ بول سکتا ہے۔
یہ رسول اللہ کی صداقت کی آخری گواہی تھی۔۔۔۔۔۔۔

Keywords:
Hazrat Muhammad SAWW, Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam, Prophet Muhammad Ki Story, Story of Prohpet Muhammad, Qaisar, Badshah, Sufyan, Abu Sufyan Ki Kahani, Muhammad SAWW ki Kahani, Islami Waqyat, Islamic World, Islamic Stories, Urdu Stories, Gawahi, 

Saturday, 20 January 2018

Death Story of Kisra (Khusru Pervez) by His Own Son (Reference of Hadith)

Hazrat Abdullah Bin Abbas (رضی اللہ تعالیٰ عنہ) Riwayat Kartay Hain Ke "Rasool Allah (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Apna Khat "Kisraa" Ke Pas Bheja. Ap S.A.W.W Ne Elchi (Qasid Numainda) Se Ye Farmaya Tha K Woh Ap SAWW Ke Khat Ko Bahrain Ke Governor Ko De Dein, Bahrain Ka Governor Isay Kisraa Ke Darbaar Mein Pohncha De Ga. Jab Kisraa Ne Maktoob Mubarik (Khat) Parha To Usay Us Ne Phaarr Daala. (Mujh Yad Hai K Saeed Bin Museeb Ne Bayan Kiya Tha K Phir "Nabi Kareem (Peace be upon Him) Ne Us Par Bad-Dua Ki Thi K Woh Bhi Paara Paara Hojaye" (Chunanch-eh Esa Hi Hua)
(Bukhari Shareef, Jild # 4, Hadith # 2939)


Tareekh Mein Darj Hai Ke Kisraa Badshah Ka Beta Jo Aik Nojwan Ayaash Kism ka Aadmi Tha Aur Wo Moqa ka intzar kar raha tha ke apne walid Kisraa ko khatam kar k jald se jald takht aur khazaanon ka maalik ban jaye. ChunanCheh jab Kisraa ne ye harkat ki (Khat Ko Phaara) to us ke bete ne jald hi aik raat ko Kisraa ke pait par charh kar us ke pait ko chhuraa (Knife) ghonp diya aur usay khatam kar diya.


Baad Mein wo takht o taaj ka malik bana to us ne khazaanon ka jaiza lete hue khazaane mein aik dawa (Medicine) ki sheeshi pai jis par Quwwat-E Baahh ki dawaa likha hua tha. Us ne socha ke walid sahib (Kisraa) isi dawa ko khaa khaa kar aakhir tak daad e esh dete rahe, mujh ko bhi dawaa kha leni chahye. Dar Haqeeqat us sheeshi mein Samm-Al-Faar tha. Us ne us ko khaya aur foran hi wo bhi khatam hogya is trah Kisraa ki saltanat paara paara hogai aur Ehd-E Farooqi (Razi Allah Ho Anho) Mein saara mul Islami Qalm Rao mein shamil hogya aur ALLAH ke schay Rasool SAWW ki dua ne poora poora asar dikhlaya. Karmaani waghera mein hai ke us ke larkay ka naam kherwia tha jis ne apne baap Pervez Naami ka pet chaak kiya tha aur 6 maahh baad khud bhi wo mazkoora zehar kha kar halaak hogya. Ehd-E Farooqi mein Hazrat Saad Bin Abi Waqas RA ke hathon ye mulk fatah hua. Yahan riwayat mein yahi Khusro Pervez muraad hai jo Laqab Khusro Se yaad kiya gaya hai (Hashiya Bukhari Sharif, Jild: 1 Page, 15)


Keywords:
Khusru pervez, khusru pervez death story, death story of khusru pervez in urdu, islamic story in urdu, how khusru pervez was dead, death of khusro pervez, death of khusrao pervez, parvaiz death, khusrao death, death of khusro pervez, pervez khusro, khusro death, death of khusro pervez, bukhari sharif ki hadees, hadees shareef, urdu islamic, islamic hadees in urdu, hadith reference of death of kisraa, kisraa death, king death in urdu, death story of kisraa in urdu, death story, story, kisraa, pervez, khusru, khusro, khusro death in urdu, khusru death in hindi, hindi story, urdu story, khusru pervez in hindi, khusru pervez in urdu, death story of khusru pervez, pervez story of death, khusru pervez story of death, death, khusro pervez ki maut, khusro pervez ki mout, khusru pervez ki maut, khusru pervez ki mout, khusru pervaiz ki mout, khusru parvaiz ki maut, khusro pervaiz ki mout, khusro pervaiz ki maut, khusro ki maut, khusrou ki maut, khosro ki maut, hadees pak, hadees shareef, bukhari hadees, hadees from bukhari shareef, al bukhari shareef, ehd e farooqi, hazrat umar farooq, hazrat Muhammad SAWW, hazrat saad bin abi waqas razi allah ho anho, story of khusru pervez death, urdu hindi stories, urdu island, urdu island, island of urdu, urdu literature, urdu adab, urdu shayari, urdu hindi, urdu jazeera, urdu island, island in urdu, urdu island, urdu,

Monday, 8 January 2018

Dard E ISHQ- Urdu Nazam by Dr. Allama Muhammad Iqbal


Ay Dard E Ishq Hai Gohar'E Aaabdar Tu
Na Mehramo'n Mein Dekh Na Ho Aashkar Tu

Pinhaa'n Tah-E Naqaab Teri Jalwa Gaah Hai
Zahir Parast Mehfil-E Nau ki Nigaah Hai

Aai Naii Hawaa Chaman-E Hast-O Bood Mein
Ay Dard-E Ishq Ab Nahi Lazzat Namood Mein

Haa'n Khud Numaayio'n Ki Tujhay Justaju Na Ho
Minnat Pazeer Naala'E Bulbul Ka Tu Na Ho

Khaali Sharaab Ishq Se Laalay Ka Jam Ho
Pani Ki Boond Giriya'E Shabnam Ka Naam Ho

Pinhaa'n Daroon'E Seena Kahin Raaz Ho Tera
Ashk'E Jigar Gudaaz Na Ghammaaz Ho Tera

Goeya Zabaan'E Shaayar'E Rangee'n Bayaa'n Na Ho
Aawaz-E Nay Mein Shikwa-E Furqat Nihaa'n Na Ho

YE DAOR NUKTA CHEE'N HAI, KAHI'N CHHUP KE BETH REH
JIS DIL MEIN TU MAKEE'N HAI WAHI'N CHHUP KE BETH REH

Ghaafil Hai Tujh Se Herat-E Ilm Aafareeda Dekh
Joeya Nahi Teri Nigah-E Naa Raseeda Dekh

Rehne De Justaju Mein Khayaal-E Buland Ko
Herat Mein Chhor Deeda-E Hikmat Pasand Ko

Jis Ki Bahaar Tu Ho Ye Esa Chaman Nahi
Qaabil Teri Namood Ke Ye Anjuman Nahi

Ye Anjuman Hai Kushta-E Nazzaara-E Majaaz
Maqsad Teri Nigaah Ka Khilwat Saraa-E Raaz!

HAR DIL MAY-E KHAYAAL KI MASTI SE CHOOR HAI
KUCH AUR AJ KAL KE KALEEMO'N KA TOOR HAI!!!

Book Name: Bang-E-Daraa
Poet Name: Allama Iqbal

Keywords:
Allama Muhammad Iqbal Shayari, Poetry of Allama Iqbal, Urdu Poetry in Roman Urdu, Roman Urdu Shayari, Urdu Shayari, Urdu Poetry of Iqbal, Iqbal Urdu Poetry, Dard E Ishq, Ishq Urdu Poetry, Ishq Poetry, Ishq Shayari, Urdu Poetry of Allama Iqbal, Urdu Shayari of Iqbal, Shayari of Iqbal, Urdu Shayri of Iqbal, Shayri, Shair, Sher of Iqbal, Iqbal Sher, Iqbal 2 Line Poetry, Urdu Nazam, Nazam of Iqbal, Iqbal Ki Nazmein, Nazm, Urdu Nazm, Urdu Shayari of Dr. Muhammad Allama Iqbal. Urdu Poetry in Urdu, Urdu Shayari in Urdu,